~Elections in Pakistan

11th may 2013, Saturday.๐Ÿ—“
Karachi ki subah 730 bajay.๐Ÿ”–
Elections ka din. ๐Ÿ“ขDimagh mein aik hi baat…Vote daaalna hai,๐Ÿ‘๐Ÿผ๐Ÿ‘๐Ÿผ๐Ÿ‘๐Ÿผ๐Ÿ‘๐Ÿผ jaldi jaldi behn bhaiyoun ko uthaya. Naya Pakistan bananay ki excitement aesi thi k baghaer kisi k kahay chaeโ˜• bhi bana kar rakh di…takay kissi k pass takheer ka koi mauqa hi na ho. ๐Ÿ˜œ

Election ka din tha aur hospital mein duty bhi meri thi…๐Ÿคท๐Ÿผโ€โ™€woh bhi medical ICU ๐Ÿคฆ๐Ÿผโ€โ™€mein. Tu pohanchna bhi zaruri tha. Magar soch yeh bhi thi k naya Pakistan bannay mein mujhe bhi apna role play karna hai. Ungli katwa kar shaheedoun mein apna naam likhwanay mein hum kyun peechay rahein.๐Ÿคจ Dimagh ๐Ÿง ne kaha subah subah pohanch jao, sanatta para hoga. Vote daaltay huay hospital ๐Ÿฅchalay jaenge. Isliaay ghar waloun ka qafla le kar 8๐Ÿ•— bajay us govt school k bahar ja kar kharay hogaye jo k hamara polling station tha. Wahan ka manzar tawaqqua se kafee mukhtalif tha… ๐Ÿ˜ฏ๐Ÿ˜ฑTamam tar loag hamaree jesi soch k mutabiq sanata expect kartay hua subah pohanchay huay thay.๐Ÿคญ Aik na khatam honay wali lambi qatar thi. Faza mein excitement..๐ŸŽ‰aesi jesay eid ka sama ๐ŸŽ…bus eid ki namaz k baad milne walay ghubaroun ๐ŸŽˆki kamee thi. Har koi buhat excited k naya Pakistan bannaay ki khatir lambi line mein wait karne k liay bhi khushi khushi tayar.๐Ÿ˜ Pehli dafah naujawan tabqa vote daalne ghar se bahar nikla tha. Warna aaj tak un NIC nmber pe shayad namaloom afraad ka hi vote dal raha hoga. Khushi thi k queue taezi se move kar rahee hai. Akhir 9 baj gaye… Kuch bhagdar machee…aur pata chala k aen mauqay par kuch lists dusray polling station shift kar di gaieen hain…chul mera bhai. ๐Ÿ˜ ๐Ÿคฌ๐ŸคPhr jaldi jaldi dusray polling station pohanchay aur aik new queue mein naye siray se lagay. Aas pass ki auntiyoun ๐Ÿง•๐Ÿผse khabar li tu pata chala k yahan tu polling shuru hi nahin hui kyunkay ballot boxes pohanchay hi nahin.O teri kher!!๐Ÿคฆ๐Ÿผโ€โ™€ Waqt jaldi jaldi guzar raha tha aur mera khoon khushk horaha tha…duty k lehaz se already late hogaee thi…aur isi intezar mein 10 baj gaye.. ballot boxes bhi agaye, voting start bhi hogaee…magar hamara nmber buhat duurr tha.๐Ÿ˜” Beech mein jagah dene ko bhi koi razi nahin.
Phr kya tha…naya Pakistan bannay mein shamoliyat ikhtiar kiay baghaer hi duty pe pohanch gaye.
Sara din udaasi taree rahee…aur aglay din jb wohee puranay loag dekhay tu socha shayad mujh jese loag vote de patay tu shayad is bar kuch change aagaya hota.๐Ÿค•
Chand baatein dimagh mein ghoomti rahein..โžฐ yeh do tarfa amal hai…hukumat ko jahan intezamat mukammal kar k rakhne chaiyay hain wahan awam ko bhi apne gharoun se nikal kr vote daalne ana chaiyay. Kissi aik k part mein bhi kotahee ho tu sahee hukamran anay se reh jaega aur hamein phr 5 saal bhugatna parega. Taleem๐Ÿ“š,bijli ๐Ÿ’ก , pani ๐Ÿšฟ๐Ÿšฐ, safai๐Ÿ—‘, security๐Ÿ›ก, economy๐Ÿ’ธ๐Ÿ’ฐ…sub ka level aur ziada down ja chuka hai..hum aur risk nahin le saktay hain.๐Ÿ˜Ÿ
Aaj Pakistan mein phr wohee din hai๐ŸŽฏ…umeed hai aaj bhi eid ka sa sama hoga, sub loag vote dene niklenge, soch bechar kar k aik achha hukamran๐Ÿ—ฃ muntakhib karenge tak k kal ki subah Pakistan k liay aik achhay waqt ki khuskhabri le k aye.
Ao mil k apna mustaqbil sanwarein, apne Pakistan ko taraqqi ki rahoun pe roshan mustaqbil ki taraf gamzan karein.๐Ÿ˜๐Ÿคฉ
#elections#โƒฃ๐Ÿ“ฃ
#dovote๐Ÿ‘๐Ÿผ๐Ÿ’ญ
#voteforabetterPakistan๐Ÿ‡ต๐Ÿ‡ฐโค๐Ÿคฒ๐Ÿผ
#qaumifareeza๐Ÿ‘๐Ÿผ
#pakistanzindabad๐Ÿ‡ต๐Ÿ‡ฐ

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s