Aik haath mein Ramadan ๐ ka menu schedule, dusray mein coffee โka mug, jooray mein pen โ lagaya, aur asteenain๐โ๐ upar charha k beth gaye dinning table pe akar.. Chalo ji Bismillah kartay hain… Mana thora late hogaye, par koi baat nahin aur zaroori kaamoun mein hi busy thi…konsa faraghat mein time waste kiya๐๐. Dimagh ๐ง pareshani ka izhar karta aur dil โฅwahin tasalli deta… zindagi mein yeh balanceโ hi tu hai… Dil o dimagh ka jo zindagi ki gari ko agay barhata hai. โฃ
Friut chaat๐๐๐๐๐, khattay aloo๐ฅ๐ฅ, dahi baray, samosay, roll๐ฅจ…Jo dishes k naam zehn mein aye jaldi jaldi likh diyay k kam az kam list ki shuruaat tu ho…
Hmmm…. Aur kya banasaktay hain..Sochtay huay nigah samne mojoud khirki se bahar nikli… Barish ๐งabhi bhi thami na thi…magar loag phr bhi apni dhun mein magan kaam mein lagay huay thay ๐ฏ๐ผโโ๐คท๐ผโโ Coffee ka ghoont liya..aur is soch mein doob gaye k Karachi mein kya kartay thay ramzan mein… Samne mojoud khirki๐ผ goya tv screen ban gaee.๐ฒ๐ปโฎ๐ต๐ฐ ๐บ
Karachi ki sham, 29 shabaan, kuch saal pehle ki baat… “Araay Tv tu kholo, chand๐๐ nikla k nahin?Pata kesay chalega?? mein chhat pe dekh k aiee!”
Itnay mein mufti muneeb ka aelan.. Chand๐ nazar agaya, RAMADAN MUBARAK! ๐๐ฟ
Ramadan ka aelan sunna tha k achanak laga shayad shetaan ๐บ๐ค๐ ko usi waqt qaed karliya gaya ho. Faza mein aik rohaaniyat๐ฟ ki lehr si daur gaee. Jaldi jaldi ghar k baroun ko Ramadan k chand ka salaam kiya aur baqee ibadaat ka ahtemaam. Baghair kissi chun chaan k bhai bhi taraveeh ki tayyari๐ฟ pakarne lagay. Ya Allah mein sadqe jaoun… SubhanAllah.๐
Kahin se Quran Pak ๐ ki tilawat ki awaz aur kahin se mukhtalif bayanaat ki goonj. ๐
Sehri ka apna alug maza. Ankhein๐๐ผโโ maltay bistar se nikalna phr raat k seeti bajatay huay chowkidar ki tarhan sub k kamray ka gasht kar k aelan karna, “uth jaaooo, dubara nahin uthane aoungee!!”๐ข๐ข Dhol ki awaz k saath qawali sunatay huay sehri k liay jagane waloun ka ana aur aesi taezi se guzar jana jesay W-11 pe bethay houn๐. Janay kaun hi uthta hoga in ki awaz se. “Jaaaagtaaaay rehna bhaiyoun”!๐จ ka naara mar k jese apne farz se subakdosh hogaye houn.
Pehli sehri pe dadhyal ki riwayat k mutabiq palak qeema banna๐๐ผโโ. Garma garam parathay aur phaeni k saath sehri k khanay ki shuruaat aur siren๐จ๐ ki awaz tak akhri pani ka ghoont peena. Fajr ki namaaz mein bhi masjid ka ba-ronaq hona. ๐๐
Subah se sham tak rozay ko bahanay k taur pe jagah jagah istemaal hota dekhna: ๐ค
“Yaar roza hai, warna aap ko achay se batata!๐ง”, “Baji lena hai tu lo warna roza na kharab karwao!”๐คฌ, “Dr sahab roza hai injection lag sakta hai na?” ๐๐๐ก, “Dr sahab rozay se kamzori hogaee hai bachi ko drip lagwa lein?”๐, “Bibi Hamara nahin tu rozay ka khayal karlo, paisay itnay kum kara rahee ho?”๐คช๐คซ
Asr ki azan k baad masjid k bahar phal ๐๐๐๐๐๐๐ waloun ki ronaq. Phal walay ka sada lagana “Meethay meethay kharbooooozay,๐๐ Bara mittha mithaa aaam, phaaaaal le lo phaalllll!”, Halwai ki dukaan k bahaar karhai mein taltay huay garam garam samosay ๐ฅจ๐ฅจ roll ki khushboo, dahi baray khareedne waloun ki lambi qataar, mohallay mein aik dusray k ghar iftari le k janay walay bachoun ki hansi๐จโ๐ฉโ๐งโ๐ฆ,Jagah jagah signals pe iftar karwanay ka intezam. Busoun mein battay huay khajoor, pakoray aur juice k packets. Iftaar se pehle ka sama hi alug. Aik ajab rush ka sama..Magar pur aman faza. ๐๐
Aur iftar se bilkul pehle aesa sanatta๐คซ๐คซ๐ k chirya ๐ฅchoun bhi karay tu pata chul jaaye.. phrrr bhi Masjid k loudspeaker ๐ki taraf aesa kaan ka lagaye rakhna k kahin azaan ki shuruaat miss na hojaye. ๐
Kuch bhi ho Ramadan k dastarkhwan ki baat hi kuch aur hotee hai.. ๐๐๐๐ Meethay meethay lal sharbat ๐ทaur wazah wazah k khanoun ๐๐๐๐๐๐ki ronaq se ya shayad sub ka mil k, ๐จโ๐ฉโ๐งโ๐ฆ aik saath, aik waqt pe khanay k liay bethne se. ๐
Jis din iftar sada bhi bana ho… Allah ta’ala mohallay wali aunty k ghar se iftar bhejwa detay hain. ๐คฒ๐ผ๐คฒ๐ผ๐คฒ๐ผ tu dastarkhwan bhara ka bhara rehta hai. Alhamdulilah.๐๐
Sub k saath mil kar ki janay wali sehr o iftar ki ahmiyat ko hum doctors se ziada kaun janay ga.๐ Residency๐ฉ๐ผโโ๐จ๐ผโโ k dauran kitni sehriyan akelay kartay. Dua kartay k dhabay walay uncle sehri pe apne chotu ko chae aur anda-paratha le k bhejne k liay tayar hojaein warna raat ka bacha hua khana… Thanda garam jesa bhi ho, kha k roza rakh letay. Kitni iftariyan aesi guzartien jis mein iftar k time patient sick hojata. ๐ค๐คฎ๐ค Koi Allah ka banda roza kholne k liay bus khajoor mun mein daal k chala jata…. Jb chand ghantoun baad khud ko ghash anay lagtay tu khayal ata k proper iftar karna tu yaad hi na raha.โฐโ
Alhamdulilah wahan aesi bhi iftar kieen jahan zaat paat, rang o nasal se bala tar tamam staff aur doctor aik dastarkhwan pe MUSALMAN ๐คฉhonay k natay saath beth k roza kholtay.
Bijli ki karakโกโก, badal ki garajโ jhanjor k aik baar phr Maldives mein le atee hai.. Haaayeee sadqay jaoun mein is mah e ramazan pe. Kya yaaadein yaad agaieen…โบโบ Chehray pe muskurahat agaee. ๐
Aik nayee jagah๐, Aik naya mulk aur us mulk k mukhtalif taur tareeqay..
Is baat mein tu koi shak nahin k is baar ka Ramadan mukhtalif hoga magar is mein bhi koi shuba nahin k mera Parwadigaar yahan k Ramadan ko bhi hamaray liay apni rehmantoun ๐aur barkatoun ๐se bhar dega. ๐๐๐๐๐
Dua๐คฒ๐ผ bus yeh hai k Allah ta’ala pehle se behtar Ramadan guzarwaein aur taufeeq ata farmaein k Ramadan k baad bhi un cheezoun ko jari O sari rakh sakein.
Ameeen. ๐๐
#Alhamdulilah ๐๐
#Ramadan๐๐๐ฟ
#blessings๐
#couplegoals๐
#expatsinmaldives ๐๐
#finallyhatching ๐ฃ๐ฃ
https://www.instagram.com/halamashhood/
Mashallah Your blog visualize me
Must follow and check my blogs too
LikeLike
JazakAllah. Will definitely do that ๐
LikeLike
Jzk ๐
LikeLike
๐
LikeLike
https://myhadiyakaluri.wordpress.com/
This is my blog link JZK Allah
LikeLike
Mashaa Allah kiya naqsha khencha hai karachi mai guzrey hoey ramzaan yaad aagayey.Great ๐๐๐คฉ๐คฉ
LikeLike
Glad you liked it โค๏ธ
LikeLike