~Ramadan in Maldives

Aik haath mein Ramadan ๐Ÿ—‚ ka menu schedule, dusray mein coffee โ˜•ka mug, jooray mein pen โœ’ lagaya, aur asteenain๐Ÿ‘˜โ†–๐Ÿ‘š upar charha k beth gaye dinning table pe akar.. Chalo ji Bismillah kartay hain… Mana thora late hogaye, par koi baat nahin aur zaroori kaamoun mein hi busy thi…konsa faraghat mein time waste kiya๐Ÿ‘๐Ÿ‘. Dimagh ๐Ÿง pareshani ka izhar karta aur dil โ™ฅwahin tasalli deta… zindagi mein yeh balanceโ˜‘ hi tu hai… Dil o dimagh ka jo zindagi ki gari ko agay barhata hai. โฃ
Friut chaat๐Ÿ๐Ÿ“๐Ÿ‡๐ŸŽ๐ŸŒ, khattay aloo๐Ÿฅ”๐Ÿฅ”, dahi baray, samosay, roll๐Ÿฅจ…Jo dishes k naam zehn mein aye jaldi jaldi likh diyay k kam az kam list ki shuruaat tu ho…
Hmmm…. Aur kya banasaktay hain..Sochtay huay nigah samne mojoud khirki se bahar nikli… Barish ๐ŸŒงabhi bhi thami na thi…magar loag phr bhi apni dhun mein magan kaam mein lagay huay thay ๐Ÿ‘ฏ๐Ÿผโ€โ™€๐Ÿคท๐Ÿผโ€โ™€ Coffee ka ghoont liya..aur is soch mein doob gaye k Karachi mein kya kartay thay ramzan mein… Samne mojoud khirki๐Ÿ–ผ goya tv screen ban gaee.๐Ÿ‡ฒ๐Ÿ‡ปโฎ๐Ÿ‡ต๐Ÿ‡ฐ ๐Ÿ“บ

Karachi ki sham, 29 shabaan, kuch saal pehle ki baat… “Araay Tv tu kholo, chand๐ŸŒ™๐ŸŒ™ nikla k nahin?Pata kesay chalega?? mein chhat pe dekh k aiee!”
Itnay mein mufti muneeb ka aelan.. Chand๐ŸŒ™ nazar agaya, RAMADAN MUBARAK! ๐ŸŒ›๐Ÿ“ฟ
Ramadan ka aelan sunna tha k achanak laga shayad shetaan ๐Ÿ‘บ๐Ÿค›๐Ÿ”š ko usi waqt qaed karliya gaya ho. Faza mein aik rohaaniyat๐Ÿ“ฟ ki lehr si daur gaee. Jaldi jaldi ghar k baroun ko Ramadan k chand ka salaam kiya aur baqee ibadaat ka ahtemaam. Baghair kissi chun chaan k bhai bhi taraveeh ki tayyari๐Ÿšฟ pakarne lagay. Ya Allah mein sadqe jaoun… SubhanAllah.๐Ÿ˜‡
Kahin se Quran Pak ๐Ÿ“– ki tilawat ki awaz aur kahin se mukhtalif bayanaat ki goonj. ๐Ÿ”Š
Sehri ka apna alug maza. Ankhein๐Ÿ™‡๐Ÿผโ€โ™€ maltay bistar se nikalna phr raat k seeti bajatay huay chowkidar ki tarhan sub k kamray ka gasht kar k aelan karna, “uth jaaooo, dubara nahin uthane aoungee!!”๐Ÿ“ข๐Ÿ“ข Dhol ki awaz k saath qawali sunatay huay sehri k liay jagane waloun ka ana aur aesi taezi se guzar jana jesay W-11 pe bethay houn๐Ÿš€. Janay kaun hi uthta hoga in ki awaz se. “Jaaaagtaaaay rehna bhaiyoun”!๐Ÿšจ ka naara mar k jese apne farz se subakdosh hogaye houn.
Pehli sehri pe dadhyal ki riwayat k mutabiq palak qeema banna๐Ÿ’๐Ÿผโ€โ™€. Garma garam parathay aur phaeni k saath sehri k khanay ki shuruaat aur siren๐Ÿšจ๐Ÿ”Š ki awaz tak akhri pani ka ghoont peena. Fajr ki namaaz mein bhi masjid ka ba-ronaq hona. ๐Ÿ•Œ๐Ÿ”†
Subah se sham tak rozay ko bahanay k taur pe jagah jagah istemaal hota dekhna: ๐Ÿค”
“Yaar roza hai, warna aap ko achay se batata!๐Ÿง”, “Baji lena hai tu lo warna roza na kharab karwao!”๐Ÿคฌ, “Dr sahab roza hai injection lag sakta hai na?” ๐Ÿ’Š๐Ÿ’‰๐ŸŒก, “Dr sahab rozay se kamzori hogaee hai bachi ko drip lagwa lein?”๐Ÿ™„, “Bibi Hamara nahin tu rozay ka khayal karlo, paisay itnay kum kara rahee ho?”๐Ÿคช๐Ÿคซ

Asr ki azan k baad masjid k bahar phal ๐Ÿ‰๐ŸŒ๐ŸŠ๐ŸŽ๐Ÿ“๐Ÿ๐Ÿ’ waloun ki ronaq. Phal walay ka sada lagana “Meethay meethay kharbooooozay,๐Ÿˆ๐Ÿˆ Bara mittha mithaa aaam, phaaaaal le lo phaalllll!”, Halwai ki dukaan k bahaar karhai mein taltay huay garam garam samosay ๐Ÿฅจ๐Ÿฅจ roll ki khushboo, dahi baray khareedne waloun ki lambi qataar, mohallay mein aik dusray k ghar iftari le k janay walay bachoun ki hansi๐Ÿ‘จโ€๐Ÿ‘ฉโ€๐Ÿ‘งโ€๐Ÿ‘ฆ,Jagah jagah signals pe iftar karwanay ka intezam. Busoun mein battay huay khajoor, pakoray aur juice k packets. Iftaar se pehle ka sama hi alug. Aik ajab rush ka sama..Magar pur aman faza. ๐Ÿ˜‡๐Ÿ˜‡
Aur iftar se bilkul pehle aesa sanatta๐Ÿคซ๐Ÿคซ๐Ÿ”‡ k chirya ๐Ÿฅchoun bhi karay tu pata chul jaaye.. phrrr bhi Masjid k loudspeaker ๐Ÿ”Ški taraf aesa kaan ka lagaye rakhna k kahin azaan ki shuruaat miss na hojaye. ๐Ÿ™„

Kuch bhi ho Ramadan k dastarkhwan ki baat hi kuch aur hotee hai.. ๐Ÿ˜๐Ÿ˜๐Ÿ˜‹๐Ÿ˜‹ Meethay meethay lal sharbat ๐Ÿทaur wazah wazah k khanoun ๐ŸŸ๐Ÿ”๐Ÿ•๐Ÿ–๐Ÿ—๐Ÿki ronaq se ya shayad sub ka mil k, ๐Ÿ‘จโ€๐Ÿ‘ฉโ€๐Ÿ‘งโ€๐Ÿ‘ฆ aik saath, aik waqt pe khanay k liay bethne se. ๐Ÿ˜‡
Jis din iftar sada bhi bana ho… Allah ta’ala mohallay wali aunty k ghar se iftar bhejwa detay hain. ๐Ÿคฒ๐Ÿผ๐Ÿคฒ๐Ÿผ๐Ÿคฒ๐Ÿผ tu dastarkhwan bhara ka bhara rehta hai. Alhamdulilah.๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š
Sub k saath mil kar ki janay wali sehr o iftar ki ahmiyat ko hum doctors se ziada kaun janay ga.๐Ÿ˜” Residency๐Ÿ‘ฉ๐Ÿผโ€โš•๐Ÿ‘จ๐Ÿผโ€โš• k dauran kitni sehriyan akelay kartay. Dua kartay k dhabay walay uncle sehri pe apne chotu ko chae aur anda-paratha le k bhejne k liay tayar hojaein warna raat ka bacha hua khana… Thanda garam jesa bhi ho, kha k roza rakh letay. Kitni iftariyan aesi guzartien jis mein iftar k time patient sick hojata. ๐Ÿค’๐Ÿคฎ๐Ÿค• Koi Allah ka banda roza kholne k liay bus khajoor mun mein daal k chala jata…. Jb chand ghantoun baad khud ko ghash anay lagtay tu khayal ata k proper iftar karna tu yaad hi na raha.โฐโš 
Alhamdulilah wahan aesi bhi iftar kieen jahan zaat paat, rang o nasal se bala tar tamam staff aur doctor aik dastarkhwan pe MUSALMAN ๐Ÿคฉhonay k natay saath beth k roza kholtay.

Bijli ki karakโšกโšก, badal ki garajโ›ˆ jhanjor k aik baar phr Maldives mein le atee hai.. Haaayeee sadqay jaoun mein is mah e ramazan pe. Kya yaaadein yaad agaieen…โ˜บโ˜บ Chehray pe muskurahat agaee. ๐Ÿ˜
Aik nayee jagah๐ŸŒ, Aik naya mulk aur us mulk k mukhtalif taur tareeqay..
Is baat mein tu koi shak nahin k is baar ka Ramadan mukhtalif hoga magar is mein bhi koi shuba nahin k mera Parwadigaar yahan k Ramadan ko bhi hamaray liay apni rehmantoun ๐Ÿ’aur barkatoun ๐ŸŽse bhar dega. ๐ŸŽ‰๐ŸŽŠ๐ŸŽ€๐ŸŽˆ๐Ÿ›
Dua๐Ÿคฒ๐Ÿผ bus yeh hai k Allah ta’ala pehle se behtar Ramadan guzarwaein aur taufeeq ata farmaein k Ramadan k baad bhi un cheezoun ko jari O sari rakh sakein.
Ameeen. ๐Ÿ˜Œ๐Ÿ˜

#Alhamdulilah ๐Ÿ˜‡๐Ÿ˜‡
#Ramadan๐Ÿ•‹๐Ÿ•Œ๐Ÿ“ฟ
#blessings๐ŸŽ
#couplegoals๐Ÿ’‘
#expatsinmaldives ๐Ÿ–๐Ÿ
#finallyhatching ๐Ÿฃ๐Ÿฃ

https://www.instagram.com/halamashhood/

7 comments

  1. Mashaa Allah kiya naqsha khencha hai karachi mai guzrey hoey ramzaan yaad aagayey.Great ๐Ÿ˜๐Ÿ˜๐Ÿคฉ๐Ÿคฉ

    Like

Leave a comment